Monday, October 24, 2005

May chota sa aik baccha hoon

(This is my latest 'Nazam' dedicated to all Kashmiri children suffered due to earthquake)

Yeh aaj achanak kia hua
Har nazara kiyon badal gaya
Har sahara kiyon bichar gaya
Who aik lamha aisa tha k sab kuch he to bikhar gaya
Aur who aik lamha bas meree aankho may he thehar gaya
May kaisay khauf say bhaga tha
May dora tha k apnee ammi key banhoon may,
Gaud may simat jaoon
Aur har khauf say, dukh say aur dard say nikal jaoon
Par ghar aaya to, na dar tha na deewar thee
Na us may rehnay wala koee makeen tha baqi
Haan bas hasrat-o-yaas-o-udaasee thee baqi
May khauf k maray dubka khara tha aur
hairat ka putla bana malbay may apnee ammi ko talashta tha
aur cheekh cheekh k pukar raha tha
ammi jaan, ab jaan kahoon ya bay jaan kahoon?
ammi jaan kia aap malbay k ander hain?
Ammi mujh ko daant he do
Par mujh ko tum awaz to do
Dekho mujh ko dar lagta hay
Ay kaash k yeh sab khawab sa ho
Aankh kholoon to, gaud ho, banhain ho, aur aapkee key piyaree batain ho
Par aisa kuch bhee ho na saka
Ab apnay nannay hathon say malbay ko hatana hay
Aur apnee ammi jaan ko shayad khud say he uthana hay
Aur phir apnay he haathon say unko matti may chupana hay
Dekho piyaree ammi jaan
“may chota sa aik baccha hoon
Aur kaam kar raha hoon baray baray”

Please go to ur mother and hug her and tell her that u love her. (u cant find the word descibing Ma ...isnt it)

Poem by Aamanna

2 Comments:

At 11:15 AM, Blogger Asma said...

Beautiful expression ... would post it in bayaaz.blogspot.com soon !!

Great blog ... especially theme of HOPE !

 
At 3:08 PM, Blogger Raheel Lakhani said...

Asma, Aamanna is a genius! Thanks

 

Post a Comment

<< Home